Woh Lal Rang Ke Libaas Mein, Aaj Phir Dil Ko Bha Gayi!
Maano Utahne Phir, Kuch Boondain Khidki Se Aa Gayi!!
Ye Hawa Ki Rangat Bhi, Aaj Kuch Ajeeb Si Thi!
Har Baar Jo Chukar Gujri,To Laga Mano Usne Chua Ho!!
Ye Suraj Bhi Aaj Dekhkar, Mujhe Muskura Raha Tha!
Maano Ishaaroon Se Mujhe, Kuch Samjha Raha Tha!!
Woh Chidiyaa Jo Har Roz Aati Thi, Munder Par Meri!
Aaj Kisi Ke Saath Aayi Thi, Maano Hamsafar Ho Uska!!
Woh Ped Jiski Tahniyon Ko, Main Aksar Sehraya Karta Tha!
Aaj Chood Gaya Tha Woh, Ek Naya Patta Mere Sirhane!!
Phir Jab Socha Maine:
Kuch Der Baith Khidki Par, Haathoon Mein Chai Ka Pyala Liye
To Laga:
Sab Kuch To Hai Wahi , Bus Jo Badla Hai Wo Hai Mere Dil Ka Mijaaz
Aur Uska Woh Lal Rang Ka Libaas....Jo Mere Dil Ko Aaj Phir Bha Gaya!!!
-Siddhant #Simplysiddh

